YouTube Se Kitne Prakar se Paise Kama Sakte Hai ? ( How Many Ways Can You Earn Monet From YouTube in Hindi ) लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
YouTube Se Kitne Prakar se Paise Kama Sakte Hai ? ( How Many Ways Can You Earn Monet From YouTube in Hindi ) लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

गुरुवार, 25 जुलाई 2024

YouTube Se Kitne Prakar se Paise Kama Sakte Hai ? ( How Many Ways Can You Earn Monet From YouTube in Hindi )

 

Image Source : Pixabay

Abhi ke samay me YouTube sach me ek aisi Platform hai jisake dvara aap paisa kama sakte hai, iske kafi sare raste hai, per pahele apko ak saphal Youtube channel banan parega, aur iske liye kaafi mehanat karna padega, Khaas karke aapko creative hona padega. Agar aapke paas acchi ideas ho aur aap jaada mehnat karein, toh aap bohot sare revenue create kar sakte hai. Iss blog me hum baat karenge kaafi saari ideas aur sources ko leke, jo aapke youtube channel ko monetize karne mein madad kar sakte hai, aur sathe me dusare tarike ke baare mein bhi baat  karenge, jisse app aur bhi jada paise kama sako. To ek saphal Youtuber banne ke liye aur paise kamane ke lie puri blog ko achchhe se padhe.


Image Source : Linkedin

No 1.  Google Ad Revenue se Income matlab Paisa kamana (YouTube Partner Program)

YouTube ki jo Creators Partner Program hai usme video mein ads dikhane se paise deta hai. Bade bade companies apne products ke liye YouTube me Ads chalate hai, jo puri tara se Google hi handel karta hai, kiu ke YouTube abhi Google ki ek product hi hai, 3 ya 4 tara ki ads videos me chalata hai, ( display ads, overlay ads, skippable video ads, aur non-skippable video ads ) Ads se jo paisa company se milta hai usmen se kuch percentage YouTube apne paas rakhta hai, aur baki paisa video creators ko deta hai. Per Earnings depend karta hai kuch factors ke upar, jaise Videos me kitane views huye, viewers ki percentage, aur ad engagement ke upar bhi.

Per a suru karne se pahale apke channel me kam se kam 500 Subscribers ( jo pahale 1,000 tha abhi 500 hai ) hona padega, aur sath me 3,000 hours ( jo pahale 4,000 hours tha abhi 3,000 hours hai ) watch time bhi hona padega 12 mahine ke ander, aur sath me YouTube ke Policies aur guidelines follow karna padega, jo avi ke samay me kafi stickly follow karna padata hai.

Kaise Apni Ad Revenue Maximize Kare Uske Liye Kuch Tips

Creative aur Engaging Content Banaye : High-quality Video abhi ke time pe jaruri hai, 480p aur 720p abhi purani ho chuki hai, TV mein videos ki quality achi ho aur PC aur Mobile mein bhi, ye baat sochiyega jarur. Aur sath me current engaging content jyaada viewers ko attract karta hai, to vaisi type ki kuch videos banana se jaldi channel grow karega, aur unko attention bhi milta hai jada. YouTube Algorithm mein, jo jaada watch time aur ad impressions le aata hai.

Videos Ki Lambai Ko Thora Jaada Rakhe : Aise type ki videos banaye jo 10 min se jaada lambi ho, usme midroll ads diya ja sakta hai, jo jaada ad revenue la sakta hai. Or Idhar ek acchi long video mein watch time bhi jaada aata hai, fir long videos me Youtube kafi sare Ads bhi chala sakta hai, to long videos jaada acha hai channel grow karne me.

SEO Pe Achchse Se Dhyan De : Titles, descriptions, aur tags sabse jyaada jaruri hai, aur sath me Thumbnail, Titles, Descriptions or Tags me jo keywords use kiya jaata hai, uske base par hi YouTube Algorithm apki video ko saahi views ke paas bhejega, aur Thumbnail ko attractive banaye, taake views apki Thumbnail ko dekhkar video pe click karne pe majbur ho jaaye, per yaad rakhen aisa na ho thumbnail kuch aur rahe or video contain kuch aur rahe, fir app community guideline violence kar sakten hai, or apki channel pe effects bhi ho saktan hai.    

 

Image Source : Pixabay
 

No 2. Get a Brand Sponsorship as a Creator :

Brand sponsored ka matlab hai brands ke saath partnership karna aur unke products ya services ko aapne videos me promote karna. Isse creators ko Brand se paisa dete hai taaki o content video create karein jo unke products ko acche se pesh karke advertisement kar paye creators ke videos me, Kiu ke abhi ke time pe social media youtube mein log jada active hote hai, to ya ek achi jaga hai products ke ads dene ke liye, aur sath me creators bhi aka chi income generate kar sakta hai ase.

Chennel Ke Liye Sponsorships Kaise Dhunde

Aap Kisi Bhi Brands Ko Direct Contact Kar Sakte Hai : Aap chahe to koi bhi brands ko direct contact kar sakte hai, unko email kar sakte hai, yaa fir agar aap ak bada creator ban jate hai, to brand apko contact kar lega.

Fir Aap Dusre Influencer Networks Jon Kar Sakte Hai : Famebit, grapevine, aur aise channel hai, jise platforms creators brands ke saath connect kar sakte hai.

Sath me yaad rakhe, authenticity maintain kare aur sirf wahi products promote kare jinpe aapka biswas ho, Sponsored content ko acche se disclose karein taaki aapki audience ka trust ban rahe, aur aap legal requirements ko bhi comply kare. Products ko naturally ekekrit kare apne video content mein taki wo apki audience ko attract kare.


Image Source : Pixabay

No 3. Merchandise se Sales Bhi Ek Achi Option Hai Paisa Kamane Mein :

Sath me merchandise sales, ek accha tarika hai aapke Youtube channel ko monetize karne ka. Merchandise mein clothing, accessories, digital products, others Products bhi aap sale kar sakte hai apne youtube channel ke dvara.


Kaise Merchandise Sales Setup Kare

Apni products ki unique design Kar sakte hai, ek acchi design, jo aapki brand ko reflect kare aur aapki audience ko product kharidne ke liye attract kare. Youtube me bhi app Merchandise ki option choose kar sakte hai, yaa fir koi or platform choose Kar sakte hai, jyasi ki Teespring, fir Amazon ke sath merch ho sakte hai, ya fir Shopify jaise platforms use karein merchandise produce aur sell karne ke liye.

Sath me aapne merchandise ko promote karna bhi jaruri hai, regularly apni merchandise ko apne videos aur channel ke community tab mein promote kare, jisse aapki sales bar jayega din din.

Isme Safal hone ke liye limited editions offer kare, limited edition products urgency create karte customers ke bich mein, aur sales ko drive bhi karte hai.

Fir design process me apni audience ko involve karein polls ya contests ke through ya fir new merchandise ideas unke bich laye, unko idea dene ke liye option rakhein. Sath me discounts offer kare, taaki average order value aur bhi jaada badh sake.



Image Source : Pixabay

No 4. Memberships aur Subscriptions Se Paisa Kamaye :

Youtube me memberships aur subscriptions ek recurring revenue stream provide karte hai, acchi exclusive content ya perks offer karke paying subscribers ko. Youtube ke channel memberships creators ko monetize karne ka mauka dete hai.

Memberships setup karne ke liye pahale dekhna padega aap eligible hai ya nehi, agar aap eligible hai to, channel memberships directly youtube pe enable kar sakte hai, jisse aapko viewers paying members ban sakte hai.

Aap Patreon use kar sakte hai, Patreon ek aur platform hai jaha fans monthly subscriptions ke dvara aapko support kar sakta hai in exchange for ak acchi exclusive content, early access, ya aur benefits ke liye.

Issme yaad rakhe, members ke liye value create karna sabse jada impotent hai, jisme achi or exclusive content apne channel me yaa page me jarur rakhen. Members only videos, live streams, ya behind the scenes content offer kare views ke liye memberships partners ke liye.

Fir personalized interactions provide karna bhi ek accha idea hai, jaise Q and A sessions ya shoutouts karein. Members ko special perks de, jaise custom badges, emojis, ya merchandise pe discounts taake apke members apko subscription paid karte rahe.



Image Source : Pixabay

No 5. Affiliate Marketing Ak Acchi Idea Hai Online Mein Paisa Kamane Ke Liye :

Affiliate marketing sach me ak badiya idea hai online me paisa kamane ka, iss mein products ya services ko promote karna hota hai aur har sale pe jo aapke diye huye link se hoti hai, uska commission kamaana hota hai. Ye ek effective tarika ho sakta hai aapke channel ko monetize karne ka.

Isse start karne ke liye pahele to apne niche se related affiliate programs join karein. Jisme Amazon Associates, ShareASale, aur CJ Affiliate popular options hai. Fir apne affiliate links ko apne video descriptions, cards, aur end screens mein incorporate kare. Honest, in-depth reviews yaa fir tutorials Video create kare affiliate products ko feature karte hue aap. Fir jab ussi link pe click karke koi kuch bhi purchase karega to uske profits se apko bhi share milega.

Yaad rakhein apne affiliate partnerships ko disclose kare, taaki trust ban rahe aapki audience ke saath. Sath mein aise products recommend karein jo aapke viewers ke liye real value provide kare.


Image Source : Pixabay

No 6. Fir Crowdfunding Bhi Kar Sakte Hai Aap :

Crowdfunding ek asa tarika hai jo, aapki audience ko aapko financially support karne ka mauka deta hai, aksar specific projects ya ongoing support ke liye. Kickstarter, GoFundMe, aur Indiegogo jaise platforms project based funding ke liye popular hain, jabki Patreon ongoing contributions ko support karta hai. Kabhi bhi kisi chis ke liye aap fund jama kar sakte hai isse.

Abhi crowdfunding campaign setup Karne ke liye ek right platform choose karna jaruri hai, Ek aisa platform select karein jo aapke goals ke saath align karta ho, chahe wo ek one time project ho ya ongoing support.

Yaad rakhen apne project ko ya aapke channel ko support karne ke benefits ko clearly explain kare taake viewers ka trust bane rahe. Incentives provide kare viewers ko, jaise early access, exclusive content, ya personalized rewards taaki jo log contribut kare vo log encourage ho sake.

Idhar apni crowdfunding campaign ko apne videos aur community posts mein promote kare. Regularly apne supporters ko campaign ki baare mein update kare aur unke contributions ke liye gratitude jarur dikhaye. Fir apni campaign ko social media platforms pe share kare taaki broader audience taak vo pohoch sake.

Image Source : Pixabay


No 7. YouTube Premium Revenue Se Income Kade :

Youtube premium ek subscription service hai jo ad-free views, background play, aur Youtube originals ka access offer karta hai views ko. Aha pe viewers bina Ads ke youtube videos dekh sakte hai, or video creators ko Youtube premium subscribers ke watch time ke basis pe revenue ka share diya jata hai.

Abhi jante hai ye kaise kam karta hai, Jab ek Youtube premium member aapka content dekhta hai, toh aapko unke subscription fee ka ek hissa milta hain. Jitna jaada watch time aapke Premium subscribers se milta hai, utni hi jaada aapki earnings hoti hai.

Per kaise Youtube premium revenue maximize kare, High-quality aur acchi engaging content watch time increase karta hai, kiu ke asi type ki viewer jadatar TV me videos dekhte hai, to achi video quality hona chahiye, jo aapko Youtube Premium viewers ko attract kare.

Aap apni audience ke samne Youtube premium benefits promote kare, jo jaada premium viewers ko aapka content dekhne ke liye motivate kare.

At End

Sach me Soche to, Youtube se paise kamane ke liye ek acchi aur strong, engaged audience build karne ki dedication chahiye. Bohut sade monetization methods ko use kar sakte hai, jaise ad revenue, sponsorship, merchandise sales, memberships, affiliate marketing, crowdfunding, aur Youtube Premium revenue, aap isse ek acchi income generates kar sakte hain. Focus kare value deliver karne me, authenticity maintain karne me, aur consistently apni audience ke saath engage rahene me, taaki aap jaada se jaada earning  kar sake.

Durga Puja History and Importance

  Image Source : Hindustan Times Navaratri Utsab jise Bengal me Durga Puja Utsav ke nam se jaana jaata hai, Bangalio ka sabse bade utsav bhi...