Navaratri Utsab jise Bengal me Durga Puja Utsav ke nam se jaana jaata hai, Bangalio ka sabse bade utsav bhi hain.
Actually aapko pata hai ? Navarastri saal me chaar baar
celebrate kiya jaata hai, Chaitra Navaratri, Magha Gupt Navaratri, Asadha Gupt
Navaratri Or Shardiya Navaratri. Inme se Chaitra Navaratri or Shardiya
Navaratri jyaada log celebrate karte hai.
Aapko pata he hoga Navaratri me hum Mata Shakti ke 9 rup ko
pujte hai, Maa Shilputri, Maa Brahmacharini, Maa Chandraghanta, Maa kushmanda,
Skanda Mata, Maa Katyayani, Maa Kaalratri, Maa Mahagauri, Maa Siddhidatri.
Vaise Durga Puja ki baat kare to kuch aise murtiya bhi mili
hai jo Kushan Yug ki hai, or Sanatan Dharma kitni purani hai vah to bolane ki
jarurat nehi hai..
Bohut pehale sei naari shakti ko pooja ja raha hai, Purano ke maayne to chitra mahina ke shukla
tithi mein shakti pooja suru huee thi. Ya bol sakte hain Durga Puja bhi pahale
chaitra mahina mei suru huya tha.
Par baad mein Shree Ram ne Ravan se yuddh se pahale Devi
Durga ki Pooja kiya tha, Vah samay sharad ka mahina tha, jisaka ulleke Valmiki
Ramayan mein milta hai, Aur isee vajah se baad mein Sharadiya Utsav ke nam se
Durga Puja jada prachalan hua.
Par Bengal Durga Pooja ki baat kare to 1480 mein Rajshahi Jila ki Taherpur ki Raja Kangsnarayan ji ki bhavan per pahali baar Durga Puja Kiya gaya tha .
Uske baad 1510 main bhi Cooch Behar ki Raja Viswa Singha ke rajbari
mein Durga Pooja kafi jyaada prasiddh hua tha
Bengal mein paarivaarik Durga Puja ki baat karen to 1610
mein barisar Sarbon Roy Choudhary ke ghar mein puja shuru hua tha, usse pahale
1609 mein Kashiswar Dutta Chaudhari ke bhavan ki puja bhi kafi prasiddh hai.
Abhi Sharad kal mein Durga Puja ki baat karen to 1757 mein Krishna Nagar ki Raja Nabakrishna Dev Bahadur aur Shobhabazar ki rajbari me Puja hone ke baad Sharad kal mein Durga Puja itna jyada prachalit hua.
1790 mein hooghly jila ki Gupta colony ke 12 Jan brahman yuvak milke Durga Puja ki aayojan kiya tha, 12 dost 12 yaar milke yah Puja kiya tha isee vajah se ise Barowari pooja naam bhi diya gaya tha. Aur uske baad ek club mein colony me har jagah per log milkar puja aayojan karte Hain.
Abhi ki samay ki baat karen to aap logon ko pata hi hoga
Bengal mein yah Puja Kitna dhumdham se manaya jata hai, bada-bada pendaal
lighting bahut paisa kharcha kiya jaata hai Puja karne ke liye.
Puja mein ek se badhkar ek theme aur sathi mein har pandal
mein competition bhi hota hai, Aapko pata hi hoga Kolkata ki Durga Puja sabse
badi hoti hai Bangal mein, aur vah dekhne ke liye logon ki bheed to puchiye mat,
Jo Kolkata se hai ,aur jo Kolkata mein Puja dekh chuke hain unhen pata hai ki
bheed kitna jyada hota hai Durga Puja ke samay mein.
To Raj Bari se Jamindar ke ghar se hokar jab Durga Puja utsav colony para mein hone laga usse time per sirf yah ek utsav nahin raha is tarah se yeh ek business Jaise bhi ban chuka hai. Bahut log ki rozi roti puri sal bhar ki kamai is utsav ke upar hi tika hua hota hai. Gaon mein boliye ya fir chhote shaharon mein ya fir bade shaharon mein jagah-jagah mein aapko mela laga hua milega. Sathi mein bahut sare log chote-chote dukan jo khane ki ho ya fir kapdon ki ho, yah chhote bacchon ki khilaune ki ho, khol ke bath jata hai .
Utsav ke samay sabhi office band rahte hain, log ek sath
ghumne nikalte hain enjoy karte Hain, to Durga Puja ek tarah se Bangal mein har
Insaan ko Insaan se judne ka mauka deta hai, aur sath hi mein bahut Jan ko kuch
paise kamane ka mauka bhi deta hai, jisse vah apna parivar chala sake.
Per mere khyal se Durga Puja se sikhane wali baat kya hai ?
Aapko pata hai ?
Sanatan Dharm ke aur agar dekhen to nari shakti ko sabhi jagah per puja gaya hai, Shakti ka aur ek rup nari koi mana gaya hai. Chahe Nav Durga Mata ko pujiye, ya fir Mata Kali ko, ya fir Mata Laxmi ko, Sarawati ko, sabhi shakti ka sroth nari koi mana kya hai.
Bina nari ke kuchh bhi srishti nahin ho sakta hai, yahan tak
ki jab aap science ki taraf dekhen ek baccha bhi janam lene se pahle nari ke
rup mei hota hai, bad mein Y chromosome ki vajah se usmein testosterone hormone
develop hota hai aur wo purush ka roop leta hai. To iss hisab se dekhe to sabhi
nari se srishti hota hai aur sabhi ke andar naritva hai.
Per abhi ke samay nari hi samajh mein surakshit nahin hai. Unhen dar dar ke ghar se nikalna padta hai, kuchh vikrit mastishk ke log unhen galat najriye se dekhta hai. Unke sath Jor jabardasti galat kam karte hain, abhi aap soch kar dekhie jis nari ka samman dharm mein kiya gaya hai, jis nari ko puja jata hai, usse nari ke roop ke upar agar aap atyachar Karen to fir yah paap hai yah punya.
Jitna bhi samaj advance kyon na ho hamari soch dhire-dhire andhere ki or ja rahi hai. TV, social media, internets ke through jo sab dikhaye jata hai vahi hamare dimag mein bus jata hai, aur ham usse sahi manne lagte hain. Par aapko bhi pata hai aur sabko pata hai kisi dikh se vah sahi nahin hai. Chhoti bacchi se lekar 70-80 saal ki buddhi aurat sabhi ko galat najri se dekha jata hai. Sabhi ke sath jor jabardasti buri kaam kiya jaata hai. Jo mere najar mein sabse bada paap hai .
Par isse aap aasani se badal nahin sakte hain, kyonki insaan
abhi ek dusre ke baare mein sochta hi nahin hain, vah bus apne swarth ke baare
mein sochte hain.
Aur shayad issi vajah se is yug ko Kaliyug kaha jata hai, per kuchh aise log abhi bhi hai jo dusron ke bare mein sochte hain, acchi baten sochte hain, acha-acha kaam karne par vishwas rakhte hain. Aur shayad issi vajah se abhi bhi Insaniyat baki hai.
Aur mujhe aisa lagta hai ek papet ,ek robot ki tarah jeene se achcha hai Insan ki tarah jiyo. dusron ke bare mein socho, jo theek hai uska sath do, Jo galat hai uske liye awaaz uthao.
Asal baat to yah hai ham Navratri utsav manate hain, Puja karte hain Mata ki per nari ko utna ijjat nahin deta hai jitna dena chahie. Saathi mein Shakti ki Puja prakriti ke roop mein bhi to kiya jata hai. Yah Jo environment matlab prakriti hai yahi aapko peene ke liye pani deta hai, khane ke liye khana deta hai aur aap ise ek gandegi se bhar dete hain.
Nadi mein gandagi faila ke, mitti mein gandagi faila ke har
jagah per plastic aur bhi ganda chij faila ke environment ko ganda karte hain. Sab
jagah per development ke naam par ped kata ja raha hai, forest per forest saaf kiya
ja raha hai. Aapko kya lagta hai bad mein aap kya aaram se saas le payenge.
To main bus abhi yahi kahana chahunga ki hamesha naariyon ka
samman Karen, aur sath hi mein shakti rupi prakriti ko hamesha clean rakhen
taki vah hamesha ham sabko khana pani deta rahe aur saaf oxygen milta rahe.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें