Abhi ke time pe log, jinme se jadatar kam umar ke larka log Shilajit ke
seban karte hai. Shilajit, jise aksar "parvaton ka vijayta aur kamzori ka
nasht karne wala" kaha jata hai, ek chipchipa, tar-like substance hai jo
zyada tar Himalayas ki chattanon mein paaya jata hai. Yeh natural supplement
kai sadiyon se traditional Indian Ayurvedic dawa mein use hota aa raha hai iske
health benefits ke liye. Yeh ek mineral-rich resin hai jo maano sadiyon tak
plant matter ke decomposition se microorganisms ke prabhav mein banta hai.
Kahaan
Milta Hai
Zadatar yah Himalayan parvaton ke upar mein milta hai, lekin
sirf ahi nehi, yeh doosre jaga pe bhi milta hai, jyase Altai Mountains,
Caucasus Mountains, aur Gilgit Baltistan ke parvaton me bhi yah milta hai.
Shilajit ko nikalne ka process kaafi jada mehnat se bhara hota hai. Chattanon
ke ander se, khuli ched se kafi dhan se isse nikalna pardah hai.
Shilajit
ke Fayde
Energy Booster: Shilajit physical performance ko
badhata hai aur energy levels ko increase karta hai. Yeh mitochondrial function
ko improve karta hai, jo cells ke powerhouses hote hain, aur energy production
ko promote karta hai.
Our Memory Function: Shilajit brain function ko enhance karta hai. Isme jo fulvic acid hota hai, jo inflammation ko reduce karne me madat karta hai, aur oxidative jo stress hai usse bhi protect karta hai, jis se memory aur cognitive abilities kafi jada improve hoti hai.
Anti-Aging Benefits: Iske antioxidant properties body me jo cellular damage hote hai usse protect karti hain, jo aging process ko slow kar sakti hain. Yeh cells, tissues, aur organs ko fir se restore or regenerate bhi karta hai.
Improved Immunity Power : Shilajit immune system ko kafi boost karta hai, iss baja se body infections aur illnesses se ache se lar pata hai.
Fertility aur Testosterone Levels Heigh : Mardon mein, Shilajit testosterone levels ko improve karne me madat karta hai, aur fertility ko badhane ke sath sath, sperm count aur motility ko badhata hai.
Good Heart Health: Shilajit heart health ko bhi thik rakhta hai, sath me blood pressure aur cholesterol levels ko kam karke, heart disease ke risk ko bhi kam karta hai.
Kaise
Kaam Karta Hai
Shilajit me jo bohot sare rich composition of minerals aur
fulvic acid hote hai, uske through yeh kaam karta hai. Fulvic acid ek carrier
molecule ki tarah act karta hai, jo nutrients ko cells mein pahunchane ka kam
karta hai aur body ke toxins ko remove karta hai. Isse cellular function
enhance hote hai aur overall vitality boost hoti hai. High mineral content body
ke nutrient stores ko replenish karta hai, jo various physiological functions
mein contribute karta hai aur health aur well-being ko enhance karta hai.
Shilajit
ke Nuksan
Jitne Shilajit ke fayde hain, kuch side effects bhi ho sakte
hain, especially agar zyada amount mein liya jaye ya properly purified na ho to.
Kuch logon ko Shilajit lene par stomach discomfort, nausea, ya diarrhea ho sakta hai.
Kam per Kabhi-kabhi, kuch log isase allerges ho sakte hain,
jaise ki itching, rashes, ya swelling.
Jo Shilajit Unprocessed hote hai, usmein heavy metals ho
sakte hain, jo harmful ho sakte hain. Isliye sirf purified Shilajit hi use
karna chahiye jo reputable Brand ya sources se ho.
Sath me Shilajit kuch medications ke saath interact kar
sakta hai, isliye jarur Shilajit start karne se pehle Doctor se consult karna
zaroori hai, especially un logon ke liye jo prescription ke hisab se medicine
le rahe hain.
Shilajit
Ki Keemat
Shilajit ki value, uski kimat uski purity, form jysi ki resin,
powder, capsules, aur brand par depend karti hai. Aam taur par, cost Rs. 500/-
se Rs.1000/- per 10 grms tak ho sakti
hai. Pure Shilajit resin typically powders ya capsules se zyada mehnga hota hai
uski potency aur extraction aur purification processes ki complexity ke karan.
Shilajiti Ayurved mein ek bohuti bada jaga rakhta hai, yeh ek
natural supplement hai. Yeh bohot sari achi health benefits deta hai, energy
fulfil karta hai, sath me Immunity Power boost karne se lekar heart health bhi
acha rakhta hai. Kamjori, thakan sabhi dur karta hai, lekin isse dhan ke saath
use karna zaroori hai, ensuring ki yeh reputable suppliers se sourced ho, Branded
ho, aur appropriate dosages mein use kiya jaye, taaki potential side effects se
bacha ja sake. Jaise kisi bhi supplement ke saath isse use kane se pahele
Doctor se saala lena chahiye. Khas kar ke un logon ke liye jinko kuch health
condition hai pahele sei, ya doosri medications le rahe hain. Dekhiye sab
supplement hi kam jada body me side effects dalta hai, benefits ke sath, to pahele
doctor ka sala jarur le.
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें