बुधवार, 16 अक्टूबर 2024

Durga Puja History and Importance

 

Image Source : Hindustan Times

Navaratri Utsab jise Bengal me Durga Puja Utsav ke nam se jaana jaata hai, Bangalio ka sabse bade utsav bhi hain.

Actually aapko pata hai ? Navarastri saal me chaar baar celebrate kiya jaata hai, Chaitra Navaratri, Magha Gupt Navaratri, Asadha Gupt Navaratri Or Shardiya Navaratri. Inme se Chaitra Navaratri or Shardiya Navaratri jyaada log celebrate karte hai.

Aapko pata he hoga Navaratri me hum Mata Shakti ke 9 rup ko pujte hai, Maa Shilputri, Maa Brahmacharini, Maa Chandraghanta, Maa kushmanda, Skanda Mata, Maa Katyayani, Maa Kaalratri, Maa Mahagauri, Maa Siddhidatri.

Vaise Durga Puja ki baat kare to kuch aise murtiya bhi mili hai jo Kushan Yug ki hai, or Sanatan Dharma kitni purani hai vah to bolane ki jarurat nehi hai..

Bohut pehale sei naari shakti ko pooja ja raha  hai, Purano ke maayne to chitra mahina ke shukla tithi mein shakti pooja suru huee thi. Ya bol sakte hain Durga Puja bhi pahale chaitra mahina mei suru huya tha.

Par baad mein Shree Ram ne Ravan se yuddh se pahale Devi Durga ki Pooja kiya tha, Vah samay sharad ka mahina tha, jisaka ulleke Valmiki Ramayan mein milta hai, Aur isee vajah se baad mein Sharadiya Utsav ke nam se Durga Puja jada prachalan hua.

Image Source : The Indian Express

Par Bengal Durga Pooja ki baat kare to 1480 mein Rajshahi Jila ki Taherpur ki Raja Kangsnarayan ji ki bhavan per pahali baar Durga Puja Kiya gaya tha .

Uske baad 1510 main bhi Cooch Behar ki Raja Viswa Singha ke rajbari mein Durga Pooja kafi jyaada prasiddh hua tha

Bengal mein paarivaarik Durga Puja ki baat karen to 1610 mein barisar Sarbon Roy Choudhary ke ghar mein puja shuru hua tha, usse pahale 1609 mein Kashiswar Dutta Chaudhari ke bhavan ki puja bhi kafi prasiddh hai.

Abhi Sharad kal mein Durga Puja ki baat karen to 1757 mein Krishna Nagar ki Raja Nabakrishna Dev Bahadur aur Shobhabazar ki rajbari me Puja hone ke baad Sharad kal mein Durga Puja itna jyada prachalit hua.

Image Source : BCAF

1790 mein hooghly jila ki Gupta colony ke 12 Jan brahman yuvak milke Durga Puja ki aayojan kiya tha, 12 dost 12 yaar milke yah Puja kiya tha isee vajah se ise Barowari pooja naam bhi diya gaya tha.  Aur uske baad ek club mein colony me har jagah per log milkar puja aayojan karte Hain.

Abhi ki samay ki baat karen to aap logon ko pata hi hoga Bengal mein yah Puja Kitna dhumdham se manaya jata hai, bada-bada pendaal lighting bahut paisa kharcha kiya jaata hai Puja karne ke liye.

Puja mein ek se badhkar ek theme aur sathi mein har pandal mein competition bhi hota hai, Aapko pata hi hoga Kolkata ki Durga Puja sabse badi hoti hai Bangal mein, aur vah dekhne ke liye logon ki bheed to puchiye mat, Jo Kolkata se hai ,aur jo Kolkata mein Puja dekh chuke hain unhen pata hai ki bheed kitna jyada hota hai Durga Puja ke samay mein.

Image Source : Pexels

To Raj Bari se Jamindar ke ghar se hokar jab Durga Puja utsav colony para mein hone laga usse time per sirf yah ek utsav nahin raha is tarah se yeh ek business Jaise bhi ban chuka hai. Bahut log ki rozi roti puri sal bhar ki kamai is utsav ke upar hi tika hua hota hai. Gaon mein boliye ya fir chhote shaharon mein ya fir bade shaharon mein jagah-jagah mein aapko mela laga hua milega. Sathi mein bahut sare log chote-chote dukan jo khane ki ho ya fir kapdon ki ho, yah chhote bacchon ki khilaune ki ho,  khol ke bath jata hai .

Utsav ke samay sabhi office band rahte hain, log ek sath ghumne nikalte hain enjoy karte Hain, to Durga Puja ek tarah se Bangal mein har Insaan ko Insaan se judne ka mauka deta hai, aur sath hi mein bahut Jan ko kuch paise kamane ka mauka bhi deta hai, jisse vah apna parivar chala sake.

Per mere khyal se Durga Puja se sikhane wali baat kya hai ? Aapko pata hai ?

Image Source : Pexels

Sanatan Dharm ke aur agar dekhen to nari shakti ko sabhi jagah per puja gaya hai,  Shakti ka aur ek rup nari koi mana gaya hai. Chahe Nav Durga Mata ko pujiye, ya fir Mata Kali ko, ya fir Mata Laxmi ko, Sarawati ko, sabhi shakti ka sroth nari koi mana kya hai.

Bina nari ke kuchh bhi srishti nahin ho sakta hai, yahan tak ki jab aap science ki taraf dekhen ek baccha bhi janam lene se pahle nari ke rup mei hota hai, bad mein Y chromosome ki vajah se usmein testosterone hormone develop hota hai aur wo purush ka roop leta hai. To iss hisab se dekhe to sabhi nari se srishti hota hai aur sabhi ke andar naritva hai.

Per abhi ke samay nari hi samajh mein surakshit nahin hai. Unhen dar dar ke ghar se nikalna padta hai, kuchh vikrit mastishk ke log unhen galat najriye se dekhta hai. Unke sath Jor jabardasti galat kam karte hain, abhi aap soch kar dekhie jis nari ka samman dharm mein kiya gaya hai, jis nari ko puja jata hai, usse nari ke roop ke upar agar aap atyachar Karen to fir yah paap hai yah punya.

Image Source : News18

Jitna bhi samaj advance kyon na ho hamari soch dhire-dhire andhere ki or ja rahi hai. TV, social media, internets ke through jo sab dikhaye jata hai vahi hamare dimag mein bus jata hai, aur ham usse sahi manne lagte hain. Par aapko bhi pata hai aur sabko pata hai kisi dikh se vah sahi nahin hai. Chhoti bacchi se lekar 70-80 saal ki buddhi aurat sabhi ko galat najri se dekha jata hai. Sabhi ke sath jor jabardasti buri kaam kiya jaata hai. Jo mere najar mein sabse bada paap hai .

Par isse aap aasani se badal nahin sakte hain, kyonki insaan abhi ek dusre ke baare mein sochta hi nahin hain, vah bus apne swarth ke baare mein sochte hain.

Aur shayad issi vajah se is yug ko Kaliyug kaha jata hai, per kuchh aise log abhi bhi hai jo dusron ke bare mein sochte hain, acchi baten sochte hain, acha-acha kaam karne par vishwas rakhte hain. Aur shayad issi vajah se abhi bhi Insaniyat baki hai.

Aur mujhe aisa lagta hai ek papet ,ek robot ki tarah jeene se achcha hai Insan ki tarah jiyo. dusron ke bare mein socho, jo theek hai uska sath do, Jo galat hai uske liye awaaz uthao.

Image Source : India Times

Asal baat to yah hai ham Navratri utsav manate hain, Puja karte hain Mata ki per nari ko utna ijjat nahin deta hai jitna dena chahie. Saathi mein Shakti ki Puja prakriti ke roop mein bhi to kiya jata hai. Yah Jo environment matlab prakriti hai yahi aapko peene ke liye pani deta hai, khane ke liye khana deta hai aur aap ise ek gandegi se bhar dete hain.

Nadi mein gandagi faila ke, mitti mein gandagi faila ke har jagah per plastic aur bhi ganda chij faila ke environment ko ganda karte hain. Sab jagah per development ke naam par ped kata ja raha hai, forest per forest saaf kiya ja raha hai. Aapko kya lagta hai bad mein aap kya aaram se saas le payenge.

To main bus abhi yahi kahana chahunga ki hamesha naariyon ka samman Karen, aur sath hi mein shakti rupi prakriti ko hamesha clean rakhen taki vah hamesha ham sabko khana pani deta rahe aur saaf oxygen milta rahe.

बुधवार, 31 जुलाई 2024

Hair Fall Ki : Causes, Vitamins, Growth, Home Remedies, and Best Foods

 

Image Source : Pexels

Abhi ke samay me Hair fall sach me ak bohoti bara problem banchuka hai young generation ke liye, isme koi gender maine nehi rakhta hai, app larka ho yaa larki sabmei hire fall ki hosakta hai. Chahe yeh genetics, lifestyle, ya environmental factors ki wajah se ho, hair loss ko manage karna aur reverse karna possible hai. Per aa baat bhi hai bohoti muskil or bohot kuch maintain karke chalna parta hai, Is blog mein hum hair fall ke causes, vitamins for hair growth, effective home remedies, aur best foods jo healthy hair ko promote karte hain, in sab ke baare mein baat karenge, kafi sari articles aur bhi research karke a yeh lekh likhi gayi hai.


Image Source : Pexels


Hair Fall Ki Karan Kya Ho Sakta Hai ?

Hair fall kai wajah se ho sakta hai, jaise ki:

Genetics ak bada karan ban sakta hai, hereditary hair loss, jo androgenetic alopecia ke naam se jaana jata hai, men aur women dono mein hair fall ka karan ho sakta hai.

Hormonal Changes jyse, pregnancy, childbirth, menopause, diabetes, thyroid problems ke wajah se hormonal imbalances ho sakta hai jo hair fall ki karan ban sakti hai.

Nutritional Deficiencies jyse ki essential nutrients jaise iron, zinc, vitamis E, vitamin C, Biotin aur bhi vitamins ki kami balo ki jaro ko or growth ko kamjor kar sakti hai.

Stress ak bada karan hai, physical ya emotional stress hair growth ki cycle ko effects karke hair fall ka kaaran ban sakta hai.

Medical Conditions hone se problem to hoga, Alopecia areata, scalp infections, aur certain autoimmune diseases hair fall kar sakti hai.

Medications bhi ak bada karan to hai, Cancer, arthritis, depression, heart problems, aur high blood pressure ke liye use hone wale drugs ka side effect se bhi hair fall ho sakta hai.

Hairstyling jitna ho sake kam kare, Excessive heat styling tools, chemical treatments, aur tight hairstyles hair ko damage karke hair fall ka karan ban sakta hai.

Sath me umr hona bhi ak natural karan hai hair fall or hair grow slow hone ki. Karan bohot sare hormones kam hone lagta hai hai sarir me.

 

Image Source : Depositphotos

Vitamins for Hair Growth :

Sabse jada main roll to vitamins or minarets play karte hai hai chis me, Hair Grow or Hair fall kam karne me bhi Vitamins ki kafi bara roll hai. Yahan kuch jaruri vitamins hai jo hair grow ko badhate hai, aur hair fall ko kam karta hai.

Vitamin A : Sebum production mein madad karta hai jo scalp ko moisturized aur healthy rakhta hai. Carrots, sweet potatoes, aur spinach iske acche sources hai.

Vitamin B7 (Biotin) : Biotin hair growth aur overall hair health ke liye zaroori hai. Eggs, nuts, aur seeds biotin ke acche sources hote hai.

Vitamin C : Collagen production ke liye jaruri hai jo hair ko strengthen karta hai. Citrus fruits, strawberries, aur bell peppers iske acche sources hote hai.

Vitamin D : Vitamin D ki deficiency alopecia se linked hai. Subha me suraj ki kiran, aur fatty fish aur drdh dairy products iske acche sources hai.

Vitamin E : Antioxidant ke roop mein hair follicles ko damage se protect karta hai. Sunflower seeds, almonds, aur spinach iske acche sources hai.

Vitamin B12 : Red blood cells ki production mein madad karta hai jo scalp aur hair follicles tak oxygen pahunchate hain. Meat, fish, aur dairy products B12 se rich hote hai.

Image Source : Pexels 

Hair Fall ke kuch Home Remedies

Kuch natural remedies bhi kaafi hadtak hair fall ko reduce aur hair growth ko badhane me madat karta hai:

Coconut Oil aur Lemon : Coconut oil ke sath Lemon ka ras se scalp massage karna protein loss ko reduce karta hai aur hair ko strengthen karta hai.

Aloe Vera : Aloe vera gel scalp par lagane se scalp ko soomth aur condition karne me madad milti hai.

Onion Juice : Ojuice blood circulation improve karta hai aur hair growth ko boost karta hai.

Egg Mask : Eggs high in protein hote hain jo hair ko strengthen karte hain. Egg mask hair ko nourishment dene ke liye lagaya ja sakta hai.

Green Tea : Green tea antioxidants se rich hoti hai jo hair loss ko prevent aur hair growth ko promote karte hain jab scalp par lagayi jati hai.

Fenugreek Seeds : Fenugreek seeds ko raat bhar bhigoke, paste banake scalp par lagayein. Fenugreek seeds proteins aur nicotinic acid se rich hote hai jo hair ko strengthen karte hain.

Best Foods for Hair

Ek achi diet jo nutrients se bhara ho, hair ki health ko achi kar sakti hai. Yaha pe kuch best foods hai jo apne diet me rakhna chahiye.

Eggs : Jada protein aur biotin, eggs hair growth ke liye ache hai, to rojana nehi to kavi kavi khana chahiye.

Berries : Antioxidants aur vitamins se bhara hote hai, berries hair health ko accha karte hai.

Spinach : Iron, folate, aur vitamins A aur C ka accha source hai, spinach hair growth ke liye sabse badiya hai.

Fatty Fish : Salmon, mackerel, aur sardines jaise fish omega-3 fatty acids se high hote hain jo hair growth ko accha karte hai.

Sweet Potatoes : Beta-carotene se packed, jise body vitamin A me convert karti hai, sweet potatoes hair health ke liye kafi acche hai.

Avocados : Healthy fats aur vitamin E se bharpoor hai, avocados hair health ko accha banata hai.

Nuts and Seeds : Ye vitamins E, B, zinc, aur jaruri fatty acids ka great sources hai.

Beans and Legumes : High in protein, iron, zinc, aur biotin, beans aur legumes hair ko majbuth karte hai.

Yogurt : Protein aur probiotics se bhara huya, yogurt scalp ko accha rakhta hai healthy karta hai.

Citrus Fruits : Oranges, lemons, aur doosre citrus fruits vitamin C se bhare hote hain jo collagen production me madad karte hai.

At end

Hair fall ho to sach me mentally or physically kafi jada problem hota hai, or iske sath deal karna bhi asan nehi hai, lekin uske karan ko samajhke aur sahi steps lekar sab kuch thik kiya ja sakta hai. Ek acchi diet jo jaruri vitamins aur nutrients se bhara ho, effective home remedies ki use, aur kisi bhi health issues ko thik karke, aap healthy hair growth ko pa sakte hai aur hair fall ko kam kar sakte hain. Per sabar rakh ke chalna hoga, aur accha results dekhne mein thoda waqt lag sakta hai. Per jada problems hone se, ek healthcare professional ya dermatologist se consult kare. Sahi step ke sath, aap healthier, stronger hair achieve kar sakte hai aur apna confidence wapas pa sakte hai.


गुरुवार, 25 जुलाई 2024

YouTube Se Kitne Prakar se Paise Kama Sakte Hai ? ( How Many Ways Can You Earn Monet From YouTube in Hindi )

 

Image Source : Pixabay

Abhi ke samay me YouTube sach me ek aisi Platform hai jisake dvara aap paisa kama sakte hai, iske kafi sare raste hai, per pahele apko ak saphal Youtube channel banan parega, aur iske liye kaafi mehanat karna padega, Khaas karke aapko creative hona padega. Agar aapke paas acchi ideas ho aur aap jaada mehnat karein, toh aap bohot sare revenue create kar sakte hai. Iss blog me hum baat karenge kaafi saari ideas aur sources ko leke, jo aapke youtube channel ko monetize karne mein madad kar sakte hai, aur sathe me dusare tarike ke baare mein bhi baat  karenge, jisse app aur bhi jada paise kama sako. To ek saphal Youtuber banne ke liye aur paise kamane ke lie puri blog ko achchhe se padhe.


Image Source : Linkedin

No 1.  Google Ad Revenue se Income matlab Paisa kamana (YouTube Partner Program)

YouTube ki jo Creators Partner Program hai usme video mein ads dikhane se paise deta hai. Bade bade companies apne products ke liye YouTube me Ads chalate hai, jo puri tara se Google hi handel karta hai, kiu ke YouTube abhi Google ki ek product hi hai, 3 ya 4 tara ki ads videos me chalata hai, ( display ads, overlay ads, skippable video ads, aur non-skippable video ads ) Ads se jo paisa company se milta hai usmen se kuch percentage YouTube apne paas rakhta hai, aur baki paisa video creators ko deta hai. Per Earnings depend karta hai kuch factors ke upar, jaise Videos me kitane views huye, viewers ki percentage, aur ad engagement ke upar bhi.

Per a suru karne se pahale apke channel me kam se kam 500 Subscribers ( jo pahale 1,000 tha abhi 500 hai ) hona padega, aur sath me 3,000 hours ( jo pahale 4,000 hours tha abhi 3,000 hours hai ) watch time bhi hona padega 12 mahine ke ander, aur sath me YouTube ke Policies aur guidelines follow karna padega, jo avi ke samay me kafi stickly follow karna padata hai.

Kaise Apni Ad Revenue Maximize Kare Uske Liye Kuch Tips

Creative aur Engaging Content Banaye : High-quality Video abhi ke time pe jaruri hai, 480p aur 720p abhi purani ho chuki hai, TV mein videos ki quality achi ho aur PC aur Mobile mein bhi, ye baat sochiyega jarur. Aur sath me current engaging content jyaada viewers ko attract karta hai, to vaisi type ki kuch videos banana se jaldi channel grow karega, aur unko attention bhi milta hai jada. YouTube Algorithm mein, jo jaada watch time aur ad impressions le aata hai.

Videos Ki Lambai Ko Thora Jaada Rakhe : Aise type ki videos banaye jo 10 min se jaada lambi ho, usme midroll ads diya ja sakta hai, jo jaada ad revenue la sakta hai. Or Idhar ek acchi long video mein watch time bhi jaada aata hai, fir long videos me Youtube kafi sare Ads bhi chala sakta hai, to long videos jaada acha hai channel grow karne me.

SEO Pe Achchse Se Dhyan De : Titles, descriptions, aur tags sabse jyaada jaruri hai, aur sath me Thumbnail, Titles, Descriptions or Tags me jo keywords use kiya jaata hai, uske base par hi YouTube Algorithm apki video ko saahi views ke paas bhejega, aur Thumbnail ko attractive banaye, taake views apki Thumbnail ko dekhkar video pe click karne pe majbur ho jaaye, per yaad rakhen aisa na ho thumbnail kuch aur rahe or video contain kuch aur rahe, fir app community guideline violence kar sakten hai, or apki channel pe effects bhi ho saktan hai.    

 

Image Source : Pixabay
 

No 2. Get a Brand Sponsorship as a Creator :

Brand sponsored ka matlab hai brands ke saath partnership karna aur unke products ya services ko aapne videos me promote karna. Isse creators ko Brand se paisa dete hai taaki o content video create karein jo unke products ko acche se pesh karke advertisement kar paye creators ke videos me, Kiu ke abhi ke time pe social media youtube mein log jada active hote hai, to ya ek achi jaga hai products ke ads dene ke liye, aur sath me creators bhi aka chi income generate kar sakta hai ase.

Chennel Ke Liye Sponsorships Kaise Dhunde

Aap Kisi Bhi Brands Ko Direct Contact Kar Sakte Hai : Aap chahe to koi bhi brands ko direct contact kar sakte hai, unko email kar sakte hai, yaa fir agar aap ak bada creator ban jate hai, to brand apko contact kar lega.

Fir Aap Dusre Influencer Networks Jon Kar Sakte Hai : Famebit, grapevine, aur aise channel hai, jise platforms creators brands ke saath connect kar sakte hai.

Sath me yaad rakhe, authenticity maintain kare aur sirf wahi products promote kare jinpe aapka biswas ho, Sponsored content ko acche se disclose karein taaki aapki audience ka trust ban rahe, aur aap legal requirements ko bhi comply kare. Products ko naturally ekekrit kare apne video content mein taki wo apki audience ko attract kare.


Image Source : Pixabay

No 3. Merchandise se Sales Bhi Ek Achi Option Hai Paisa Kamane Mein :

Sath me merchandise sales, ek accha tarika hai aapke Youtube channel ko monetize karne ka. Merchandise mein clothing, accessories, digital products, others Products bhi aap sale kar sakte hai apne youtube channel ke dvara.


Kaise Merchandise Sales Setup Kare

Apni products ki unique design Kar sakte hai, ek acchi design, jo aapki brand ko reflect kare aur aapki audience ko product kharidne ke liye attract kare. Youtube me bhi app Merchandise ki option choose kar sakte hai, yaa fir koi or platform choose Kar sakte hai, jyasi ki Teespring, fir Amazon ke sath merch ho sakte hai, ya fir Shopify jaise platforms use karein merchandise produce aur sell karne ke liye.

Sath me aapne merchandise ko promote karna bhi jaruri hai, regularly apni merchandise ko apne videos aur channel ke community tab mein promote kare, jisse aapki sales bar jayega din din.

Isme Safal hone ke liye limited editions offer kare, limited edition products urgency create karte customers ke bich mein, aur sales ko drive bhi karte hai.

Fir design process me apni audience ko involve karein polls ya contests ke through ya fir new merchandise ideas unke bich laye, unko idea dene ke liye option rakhein. Sath me discounts offer kare, taaki average order value aur bhi jaada badh sake.



Image Source : Pixabay

No 4. Memberships aur Subscriptions Se Paisa Kamaye :

Youtube me memberships aur subscriptions ek recurring revenue stream provide karte hai, acchi exclusive content ya perks offer karke paying subscribers ko. Youtube ke channel memberships creators ko monetize karne ka mauka dete hai.

Memberships setup karne ke liye pahale dekhna padega aap eligible hai ya nehi, agar aap eligible hai to, channel memberships directly youtube pe enable kar sakte hai, jisse aapko viewers paying members ban sakte hai.

Aap Patreon use kar sakte hai, Patreon ek aur platform hai jaha fans monthly subscriptions ke dvara aapko support kar sakta hai in exchange for ak acchi exclusive content, early access, ya aur benefits ke liye.

Issme yaad rakhe, members ke liye value create karna sabse jada impotent hai, jisme achi or exclusive content apne channel me yaa page me jarur rakhen. Members only videos, live streams, ya behind the scenes content offer kare views ke liye memberships partners ke liye.

Fir personalized interactions provide karna bhi ek accha idea hai, jaise Q and A sessions ya shoutouts karein. Members ko special perks de, jaise custom badges, emojis, ya merchandise pe discounts taake apke members apko subscription paid karte rahe.



Image Source : Pixabay

No 5. Affiliate Marketing Ak Acchi Idea Hai Online Mein Paisa Kamane Ke Liye :

Affiliate marketing sach me ak badiya idea hai online me paisa kamane ka, iss mein products ya services ko promote karna hota hai aur har sale pe jo aapke diye huye link se hoti hai, uska commission kamaana hota hai. Ye ek effective tarika ho sakta hai aapke channel ko monetize karne ka.

Isse start karne ke liye pahele to apne niche se related affiliate programs join karein. Jisme Amazon Associates, ShareASale, aur CJ Affiliate popular options hai. Fir apne affiliate links ko apne video descriptions, cards, aur end screens mein incorporate kare. Honest, in-depth reviews yaa fir tutorials Video create kare affiliate products ko feature karte hue aap. Fir jab ussi link pe click karke koi kuch bhi purchase karega to uske profits se apko bhi share milega.

Yaad rakhein apne affiliate partnerships ko disclose kare, taaki trust ban rahe aapki audience ke saath. Sath mein aise products recommend karein jo aapke viewers ke liye real value provide kare.


Image Source : Pixabay

No 6. Fir Crowdfunding Bhi Kar Sakte Hai Aap :

Crowdfunding ek asa tarika hai jo, aapki audience ko aapko financially support karne ka mauka deta hai, aksar specific projects ya ongoing support ke liye. Kickstarter, GoFundMe, aur Indiegogo jaise platforms project based funding ke liye popular hain, jabki Patreon ongoing contributions ko support karta hai. Kabhi bhi kisi chis ke liye aap fund jama kar sakte hai isse.

Abhi crowdfunding campaign setup Karne ke liye ek right platform choose karna jaruri hai, Ek aisa platform select karein jo aapke goals ke saath align karta ho, chahe wo ek one time project ho ya ongoing support.

Yaad rakhen apne project ko ya aapke channel ko support karne ke benefits ko clearly explain kare taake viewers ka trust bane rahe. Incentives provide kare viewers ko, jaise early access, exclusive content, ya personalized rewards taaki jo log contribut kare vo log encourage ho sake.

Idhar apni crowdfunding campaign ko apne videos aur community posts mein promote kare. Regularly apne supporters ko campaign ki baare mein update kare aur unke contributions ke liye gratitude jarur dikhaye. Fir apni campaign ko social media platforms pe share kare taaki broader audience taak vo pohoch sake.

Image Source : Pixabay


No 7. YouTube Premium Revenue Se Income Kade :

Youtube premium ek subscription service hai jo ad-free views, background play, aur Youtube originals ka access offer karta hai views ko. Aha pe viewers bina Ads ke youtube videos dekh sakte hai, or video creators ko Youtube premium subscribers ke watch time ke basis pe revenue ka share diya jata hai.

Abhi jante hai ye kaise kam karta hai, Jab ek Youtube premium member aapka content dekhta hai, toh aapko unke subscription fee ka ek hissa milta hain. Jitna jaada watch time aapke Premium subscribers se milta hai, utni hi jaada aapki earnings hoti hai.

Per kaise Youtube premium revenue maximize kare, High-quality aur acchi engaging content watch time increase karta hai, kiu ke asi type ki viewer jadatar TV me videos dekhte hai, to achi video quality hona chahiye, jo aapko Youtube Premium viewers ko attract kare.

Aap apni audience ke samne Youtube premium benefits promote kare, jo jaada premium viewers ko aapka content dekhne ke liye motivate kare.

At End

Sach me Soche to, Youtube se paise kamane ke liye ek acchi aur strong, engaged audience build karne ki dedication chahiye. Bohut sade monetization methods ko use kar sakte hai, jaise ad revenue, sponsorship, merchandise sales, memberships, affiliate marketing, crowdfunding, aur Youtube Premium revenue, aap isse ek acchi income generates kar sakte hain. Focus kare value deliver karne me, authenticity maintain karne me, aur consistently apni audience ke saath engage rahene me, taaki aap jaada se jaada earning  kar sake.

बुधवार, 17 जुलाई 2024

Shilajit: Ek Purana Ilaaj Aaj Ke Samay Ke Liye (Health Benefit kya hai)

Image Source : Pixabay


Abhi ke time pe log, jinme se  jadatar kam umar ke larka log Shilajit ke seban karte hai. Shilajit, jise aksar "parvaton ka vijayta aur kamzori ka nasht karne wala" kaha jata hai, ek chipchipa, tar-like substance hai jo zyada tar Himalayas ki chattanon mein paaya jata hai. Yeh natural supplement kai sadiyon se traditional Indian Ayurvedic dawa mein use hota aa raha hai iske health benefits ke liye. Yeh ek mineral-rich resin hai jo maano sadiyon tak plant matter ke decomposition se microorganisms ke prabhav mein banta hai. 

 

Kahaan Milta Hai 

Zadatar yah Himalayan parvaton ke upar mein milta hai, lekin sirf ahi nehi, yeh doosre jaga pe bhi milta hai, jyase Altai Mountains, Caucasus Mountains, aur Gilgit Baltistan ke parvaton me bhi yah milta hai. Shilajit ko nikalne ka process kaafi jada mehnat se bhara hota hai. Chattanon ke ander se, khuli ched se kafi dhan se isse nikalna pardah hai.

Image Source : IndiaMart
 

Shilajit ke Fayde

Energy Booster: Shilajit physical performance ko badhata hai aur energy levels ko increase karta hai. Yeh mitochondrial function ko improve karta hai, jo cells ke powerhouses hote hain, aur energy production ko promote karta hai.

Our Memory Function: Shilajit brain function ko enhance karta hai. Isme jo fulvic acid hota hai, jo inflammation ko reduce karne me madat karta hai, aur oxidative jo stress hai usse bhi protect karta hai, jis se memory aur cognitive abilities kafi jada improve hoti hai.

Anti-Aging Benefits: Iske antioxidant properties body me jo cellular damage hote hai usse protect karti hain, jo aging process ko slow kar sakti hain. Yeh cells, tissues, aur organs ko fir se restore or regenerate bhi karta hai.

Improved Immunity Power : Shilajit immune system ko kafi boost karta hai, iss baja se body infections aur illnesses se ache se lar pata hai.

Fertility aur Testosterone Levels Heigh : Mardon mein, Shilajit testosterone levels ko improve karne me madat karta hai, aur fertility ko badhane ke sath sath, sperm count aur motility ko badhata hai.

Good Heart Health: Shilajit heart health ko bhi thik rakhta hai, sath me blood pressure aur cholesterol levels ko kam karke, heart disease ke risk ko bhi kam karta hai.


Kaise Kaam Karta Hai

Shilajit me jo bohot sare rich composition of minerals aur fulvic acid hote hai, uske through yeh kaam karta hai. Fulvic acid ek carrier molecule ki tarah act karta hai, jo nutrients ko cells mein pahunchane ka kam karta hai aur body ke toxins ko remove karta hai. Isse cellular function enhance hote hai aur overall vitality boost hoti hai. High mineral content body ke nutrient stores ko replenish karta hai, jo various physiological functions mein contribute karta hai aur health aur well-being ko enhance karta hai.

 

Image Source : Wikipedia


Shilajit ke Nuksan

Jitne Shilajit ke fayde hain, kuch side effects bhi ho sakte hain, especially agar zyada amount mein liya jaye ya properly purified na ho to.

Kuch logon ko Shilajit lene par stomach discomfort, nausea, ya diarrhea ho sakta hai.

Kam per Kabhi-kabhi, kuch log isase allerges ho sakte hain, jaise ki itching, rashes, ya swelling.

Jo Shilajit Unprocessed hote hai, usmein heavy metals ho sakte hain, jo harmful ho sakte hain. Isliye sirf purified Shilajit hi use karna chahiye jo reputable Brand ya sources se ho.

Sath me Shilajit kuch medications ke saath interact kar sakta hai, isliye jarur Shilajit start karne se pehle Doctor se consult karna zaroori hai, especially un logon ke liye jo prescription ke hisab se medicine le rahe hain.

 

Shilajit Ki Keemat

Shilajit ki value, uski kimat uski purity, form jysi ki resin, powder, capsules, aur brand par depend karti hai. Aam taur par, cost Rs. 500/- se Rs.1000/- per 10 grms  tak ho sakti hai. Pure Shilajit resin typically powders ya capsules se zyada mehnga hota hai uski potency aur extraction aur purification processes ki complexity ke karan.

 

Shilajiti Ayurved mein ek bohuti bada jaga rakhta hai, yeh ek natural supplement hai. Yeh bohot sari achi health benefits deta hai, energy fulfil karta hai, sath me Immunity Power boost karne se lekar heart health bhi acha rakhta hai. Kamjori, thakan sabhi dur karta hai, lekin isse dhan ke saath use karna zaroori hai, ensuring ki yeh reputable suppliers se sourced ho, Branded ho, aur appropriate dosages mein use kiya jaye, taaki potential side effects se bacha ja sake. Jaise kisi bhi supplement ke saath isse use kane se pahele Doctor se saala lena chahiye. Khas kar ke un logon ke liye jinko kuch health condition hai pahele sei, ya doosri medications le rahe hain. Dekhiye sab supplement hi kam jada body me side effects dalta hai, benefits ke sath, to pahele doctor ka sala jarur le.


रविवार, 14 जुलाई 2024

Anant Ambani ki Shaadi : Total Cost Approx. Rs 5000 Cr or Guest List me Kon Kon The

 

Image Source : House of Pixels / Vaishnav Parveen

July 12 me, Anant Ambani, jo Mukesh Ambani (Chairman aur Managing Director of Reliance Industries or Richest man in India) aur Nita Ambani (Chairperson aur Founder of Reliance Foundation) ke chhote bete hain, ne Radhika Merchant se shaadi ki, jo industrialist Viren Merchant aur Shaila Merchant ki beti hain. Yeh shaadi ek grand event thi, aur ek aise guest list thi jo business, entertainment aur political world ke bade logon se bhari hui thi. Shaadi ne traditional Indian rituals aur contemporary luxury ko mix karke ek unique experience diya, jo recent times mein puri duniya me ak bahut charcha ka Vishay hai.


Image Source : Filmfare

Shaadi ke Pehle ke Festivities

Celebrations ki shuruaat pre-wedding events se hui, jo traditional ceremonies, parties aur lavish gatherings se bhari hui thi. Yeh events ki baat kare to 4 mahine pahele sei iski suruyaat ho chuki thi, unki family home town Jamnagar, Gujarat me, jisme 1200 se  jada Guest the, jisme Special Guest me the Mark Zuckerberg, Microsoft’s Bill Gates and Ivanka Trump, or sath me Bollywood ke satbhi Stars bhi, chahe app Shah Rukh Khan kahe yaa Salman Khan yaa Amitabh Bachchan sabhi the, or sath me South Film Industry ke stars v the. Pre-wedding festivities ne shaadi ke grand celebration ke liye mood set kiya, aur sath me aha pe har event ko bahut carefully plan aur execute kiya gaya.

Rihanna ne 2016 ke bad pahela koi Full Concert ki thi pre-wedding me, uske baad may mahine me v 4 din ka European cruise events v tha, iss samay performance kiye the Andrea Bocelli, the Backstreet Boys, David Guetta, Katy Perry, and Pitbull. Or sath me shaadi se ek hapte pahele Justin Bieber keu book kiya gaya tha.


Image Source : Mint

Mehendi Ceremony

Mehendi ceremony ek vibrant event thi, jismein music, dance aur laughter se bharpoor thi. Radhika ne ek designer lehenga pehna, aur unke haath intricate henna designs se sajaye gaye jo love aur prosperity ko symbolize karte hain. Is event mein close family aur friends shamil hue, jinhone renowned artists ke performances aur delicious delicacies ka maza liya. Venue ko flowers aur traditional motifs se decorate kiya gaya, jo festive aur joyful atmosphere create kar raha tha.

Sangeet

Sangeet night pre-wedding celebrations ka ek highlight tha. Is event mein Bollywood stars ne performances di, aur Ambani family ne bhi special dances ke liye stage pe perform kiya. Anant aur Radhika ki love story ko skits aur dances ke through narrate kiya gaya, jo evening ko personal touch de raha tha. Sangeet ek star-studded event tha, jismein film industry, business world aur politics ke celebrities ne shirkaat ki. Decor extravagant tha, jismein traditional aur modern elements ka mix tha, aur evening ek spectacular fireworks display ke saath khatam hui.

Shaadi ka Ceremony

Shaadi ka ceremony tradition aur modernity ka ek blend tha. Puri tara se Hindu Reeti Rivaaj sei huya, 12 Jul 2024 ko. 13 July tha Shubh Aashirwad and the wedding reception ke liye, or Mangal UtsaV Rakha gaya 14 July me. Iske liye khas Mumbai Police ne ak traffic advisory jari kiya tha three-day wedding events ke liye. Jio World Centre, Mumbai mein held, venue ko elaborate floral arrangements, intricate mandap designs, aur luxurious seating arrangements se ek magical setting mein transform kiya gaya tha. Ceremony traditional Hindu rituals ko follow karte huei kiya gaya, jismein Anant aur Radhika ne sacred fire ke saamne apne vows liye, surrounded by their family aur friends.


Image Source : Hindustan Times


Bride aur Groom

Radhika Merchant ek custom-designed lehenga mein resplendent lag rahi thi, jo intricate embroidery aur precious stones se embellished tha. Unki jewelry, jo traditional aur contemporary pieces ka mix tha, unki regal appearance ko aur enhance kar rahi thi. Anant Ambani ne ek sherwani pehni, jo occasion ki opulence ko match kar rahi thi. Bride aur groom ke outfits renowned fashion designers ne design kiye gaya tha, ensuring ki dono apne special day par best lag rahe the.


Image Source : Mint


Rituals aur Traditions

Shaadi traditional Hindu rituals ko follow karte hue hui, jismein shuruaat Baraat se hui, jaha Anant ek grand procession mein music, dance aur fanfare ke saath aaye. Iske baad Jaimala ceremony hui, jismein couple ne garlands exchange kiye, jo unki acceptance ko signify kar raha tha. Kanyadaan ceremony, jaha Radhika ke parents ne unka haath Anant ko diya, families ke liye ek emotional moment tha. Ceremony ka highlight Saat Phere tha, jismein couple ne sacred fire ke around seven vows liye, promising to support aur cherish each other throughout their lives.

Shaadi ke Baad ke Celebrations

Shaadi ke baad ke celebrations bhi shaadi ki tarah grand the, jismein different locations mein receptions hue taaki extensive guest list ko accommodate kiya ja sake. Yeh receptions prominent figures from various fields se bhare hue the, aur har event luxury aur grandeur se marked tha.

Reception in Mumbai

Mumbai mein main reception ek glittering affair tha, jismein kafi bare bare guest shamil hue. Venue ko exquisite floral arrangements se decorate kiya gaya tha, aur menu mein international aur Indian cuisine ka lavish spread tha. Anant aur Radhika, designer outfits mein, apne guests ko grace aur elegance ke saath greet kar rahe the. Evening mein well-known artists ne performances di, aur yeh evening love, unity aur joy ka celebration thi.

Reception in Jamnagar

Ek special reception Jamnagar, Gujarat mein bhi held hui, jo Ambani family ke heart mein ek special place rakhta hai due to their business roots in the region. Is event mein local dignitaries, business associates aur family friends shamil hue. Celebrations yaha traditional Gujarati customs aur Mumbai reception ke compare mein ek more intimate setting se marked thi.


Image Source : IndiaToday

Guest List

Abhi shaadi ki guest ki baat kare to Prime Minister Narendra Modi, Congress leader Sonia Gandhi, Union Agriculture Minister Shivraj Singh Chouhan, Defence Minister Rajnath Singh, Andhra Pradesh CM N Chandrababu Naidu, Andhra Pradesh Deputy CM Pawan Kalyan, West Bengal CM Mamata Banerjee, Uttar Pradesh CM Yogi Adityanath and Tamil Nadu CM MK Stalin are expected to attend. 

Or Bollywood ki baat kare to Shah Rukh Khan, Aamir Khan, Salman Khan, Amitabh Bachchan, Akshay Kumar, Deepika Padukone, Ranveer Singh, Katrina Kaif, Vicky Kaushal, Alia Bhatt, Shahid Kapoor and Ranbir Kapooror v bohot saare, or Specially Hollywood se Kardashian sisters, Kim and Khloe, or Actor and WWE Super Star John Cena, Despacito singer Luis Rodriguez, Calm Down fame Rema are also expected to attend the wedding. 

Former US Secretary of State John Kerry, former UK PMs Tony Blair and Boris Johnson, ex-Italian PM Matteo Renzi, former Canada Prime Minister Stephen Harper, ex-Maldives President Mohamed Nasheed, Tanzania President H.E. Samia Suluhu Hassan, ex-Austrian PM Sebastian Kurz, IOC vice president Juan Antonio Samaranch, WTO D-G Ngozi Okonjo-Iweala, FIFA president Gianni Infantino, and ex-Swedish PM Carl Bildt too are expected to attend the wedding.

Ambani family ke extensive network aur influence ka ek testament thi. Political figures, including the Prime Minister of India, Narendra Modi, ne bhi shaadi attend ki, jo national scale par is event ki significance ko highlight karta hai.

Media Coverage

Shaadi ko extensive media coverage mili, aur har detail of the events report ki gayi aur fans aur well-wishers ne globe ke across follow kiya. Ambani family, jo apne grand celebrations ke liye sabhi jante hai, unhone ensure kiya ki yeh shaadi koi exception na ho. 18.5 ekad mein phaila Mumbai ka JIO World Centre, FIFA football field se lagabhag 12 guna bada hai aur Empire State Building in New York se Bhi 10.3 guna bada hai. yah 1,108,812 square feet mein phaila hai aur isamen paanch modular halls, 25 meeting room aur ek bolaroom hai. Decorations se le kar guest list tak, shaadi ka har aspect discuss aur admire kiya gaya, making it one of the most memorable events of the year.

Ambani parivaar ne Anant Ambani aur Radhika Merchant ke shaadi mein Guest ko laane or le jaane ke lie three Falcon-2000 jets ka babndobast kiya tha. Club One Air ke CEO Rajan Mahra ne bataaya ki unhen ummeed hai ki is shaadi ke lie 100 se zyaada private planes ka istemaal kiya jaega.


Image Source : Twitter

Wedding Cost (Approx)

Daily Mail article ke ek lekh ke anusaar, pre-wedding celebration costs (Rihaana ne Jamnagar performance ke liye $5 million charged ki thi) jabaki Justin Bieber ne $10 million lie the) aur cruise liner, private jets and security ko jodakar, shaadi par $320 million (lagbhag Rs. 2500 crore ) se adhik kharch hone kee ummeed hai.

Or Idhar The Guardian ke hisab se Total Wedding Cost lagabhag $600 million (Approx Rs 5000 Crore) hai. 

At The End

Anant Ambani ki shaadi Radhika Merchant se ek grand celebration thi, jo tradition aur modernity ka perfect blend dikhata hai. Meticulous planning, opulent decor, star-studded guest list, aur heartfelt rituals ne is shaadi ko ek memorable event banaya. Yeh celebration sirf do individuals ke union ka hi nahi tha, balki love, family aur cultural heritage ka bhi tha. Shaadi ne grandeur aur luxury ke liye ek naya benchmark set kiya, reflecting the stature aur influence of the Ambani family in Indian society.

मंगलवार, 9 जुलाई 2024

Jagannath Rath Yatra: History and Present

Image Source: www.rathyatra.net

Jagannath Rath Yatra, jise Chariot Festival bhi kehte hain, Bharat ke sabse mahan aur bhavya tyoharon mein se ek hai, jo Puri, Odisha mein manaya jata hai. Yeh varshik utsav duniya bhar se karodon bhakton aur paryatakon ko apne aur kheenchta hai, jo sab Lord Jagannath, unke bhai Balabhadra, aur behen Subhadra ke bhavya Rath Yatra ko dekhne ke liye utsuk rehte hain. Is tyohar ki jaden prachin Hindu paramparao mein hain aur aaj bhi Bharat aur videsh mein phaili hui hain.

Jagannath Rath Yatra ka utpatti prachin pauranik kathao aur granthon mein milti hai. Hindu vishwas ke anusaar, Rath Yatra ka pratha Puranon ke samay se chali aa rahi hai. Yeh alag-alag prachin granthon mein ullekhit hai, jaise ki Skanda Purana, Brahma Purana, aur Padma Purana. Rath Yatra se judi sabse lokpriya katha Lord Jagannath, jo Lord Krishna ka roop hai, se judi hai.

Image Source: Pexels

Lord Jagannath ki Katha (History)

Kahani shuru hoti hai King Indradyumna of Malwa se, jo Lord Vishnu ke bhakt the. Raja ko ek sapna aaya jisme Lord Vishnu ne unhe Puri mein apne naam ka mandir banane ka aadesh diya. Is devine aadesh ka palan karte hue, Raja Indradyumna ne mandir ka nirman shuru kiya. Lekin, mandir adhura raha kyunki devtaon ke roop gaib the.

Ek raat, Lord Vishnu ne fir sapne mein aakar Raja ko samundar mein tairte hue lakdi ke lathde ko dhoondhne aur usse devtaon ke roop banane ko kaha. Raja ne us lakdi ko dhoondh kar mandir mein laaya. Vishwakarma, jo devine architect hain, ek bude carpenter ke roop mein aakar devtaon ke roop banane ke liye tayar hue is shart par ki woh band darwazon ke peeche kaam karenge aur koi unhe tang nahi karega jab tak kaam poora nahi ho jata. Lekin, kayi dinon tak awaaz na sunai dene par, rani bechain ho gayi aur Raja se darwaza kholne ko kaha. Vishwakarma, naraaz hokar, adhure devtaon ko chhodkar chale gaye, jisse Jagannath, Balabhadra, aur Subhadra ka anokha roop bana.

Ithihasik roop se, Rath Yatra kayi shatabdi se manayi ja rahi hai, jiske praman 12vi shatabdi tak milte hain.

The Present-Day Puri Rath Yatra

Puri mein Lord Jagannath ka mandir, jo King Anantavarman Chodaganga Deva ne banaya tha, is tyohar ka kendra raha hai. Yugon ke dauran, is tyohar ka vikas hua hai, aur alag-alag rajvansh aur shasakon ne iski bhavyata aur star mein yogdan diya hai.

Aaj, Puri Rath Yatra ek bhavya drishya hai jo karodon bhakton aur paryatakon ko akarshit karta hai. Yeh tyohar aam taur par Ashadha mahine (June-July) mein hota hai aur nau din tak chalta hai. Mukhya ghatna hai tin devtaon—Lord Jagannath, Lord Balabhadra, aur Goddess Subhadra—ka Jagannath Mandir se Gundicha Mandir tak ka yatra, jo lagbhag 3 kilometers door hai.

Chariots, ya rath, bade lakdi ke sanrachna hain jo har saal bariki se banayi aur sajayi jati hain. Lord Jagannath ka rath, jise Nandighosha kehte hain, lagbhag 45 feet ooncha hota hai aur iske 16 pahiye hote hain. Lord Balabhadra ka rath, Taladhwaja, 44 feet ooncha hota hai aur iske 14 pahiye hote hain, aur Goddess Subhadra ka rath, Darpadalana, 43 feet ooncha hota hai aur iske 12 pahiye hote hain. Yeh rath hazaron bhakton dwara khiche jate hain, jo ise ek pavitra kaarya maante hain.

Yatra ki shuruaat hoti hai Gajapati King of Puri dwara rath ki safai se, jo yeh pradarshit karta hai ki sabhi, chahe unka samajik darja kuch bhi ho, Lord Jagannath ki nazar mein barabar hain. Rath phir Gundicha Mandir tak jate hain, jahan devta saat din rehte hain aur phir wapas Jagannath Mandir aate hain ek saman yatra, jise Bahuda Yatra kehte hain, ke madhyam se.

Image Source: Pexels

Worldwide Celebrations of Rath Yatra

Jagannath Rath Yatra ka josh aur utsah sirf Puri aur Bharat tak seemit nahi hai. Aaj, Rath Yatras duniya bhar mein manayi jati hain, khaaskar un deshon mein jahan bharatiya samuday aur ISKCON (International Society for Krishna Consciousness) ke mandir hain.

United States mein, New York, Los Angeles, aur San Francisco jese shahron mein bhavya Rath Yatra julus hota hai. Yeh ghatnayein, jo aksar ISKCON dwara aayojit ki jati hain, me bharatiya pravasi aur sthaniya niwasiyon ki badi bhagidari hoti hai. Rath, jo scale mein Puri ke rathon se chote hote hain, sundar tarike se sajaye jate hain, aur mahaul bhajan-kirtan aur sanskritik pradarshanon se bhara hota hai.

United Kingdom mein, London ke paas ek sabse bada Rath Yatra hota hai jo Bharat ke bahar mana jata hai. Yeh yatra, jo Hyde Park se shuru hota hai aur Trafalgar Square par samaapt hota hai, jismein hazaron log shamil hote hain. Is ghatna mein sanskritik pradarshan, shakahari bhojan stalls, aur bharatiya aadhyatmikta aur sanskriti par pradarshiniyan hoti hain, jo London ke logon aur paryatakon ke liye ek bada akarshan banta hai.

Other Countries

Rath Yatra utsav Canada, Australia, South Africa, aur kayi European deshon mein bhi manaya jata hai. Yeh utsav bharatiya sanskriti aur aadhyatmikta ko badhawa dene ka saadhan hai aur bharatiya diaspora mein ekta ka ehsaas badhata hai.

Symbolism and Spiritual Significance of Rath Yatra

Rath Yatra sirf devtaon ka sharirik yatra nahi hai; ismein gehra prateekatmak aur aadhyatmik mahatva hai. Jagannath Mandir se Gundicha Mandir aur wapas ka yatra Lord Krishna ke bachpan ke Gokul se Mathura yatra ka punaravartan mana jata hai. Yeh darshan (audience) dene ke liye bhagwan ke mandir se bahar aane ka prateek hai, jo jaati, dharm aur varg ki deewaron ko todta hai.

Bhakton ke liye, rath khichna ek bhakti aur seva ka kaarya hai. Mana jata hai ki Rath Yatra mein shamil hone ya isse dekhne se paapon ka nash hota hai aur divya aashirwad milta hai. Tyohar samuhik samanta, bhakti, aur khushi ka samay hota hai, jab sabhi varg ke log milkar manate hain.

At Last

Jagannath Rath Yatra ek aisa tyohar hai jo Bharat ke samridh sanskritik virasat aur aadhyatmik gehrai ko khoobsoorati se darshata hai. Apne prachin mool se jo pauranik kathaon aur itihaas mein hai, apne bhavya utsavon tak aaj ke samay mein, Puri aur duniya bhar mein, Rath Yatra karodon logon mein bhakti aur ekta ko prerit karta hai. Yeh pratha ki amar shakti aur aadhyatmikta ke sarvabhaumik akarshan ka pramaan hai, jo samay aur bhugol se pare hai. 

Durga Puja History and Importance

  Image Source : Hindustan Times Navaratri Utsab jise Bengal me Durga Puja Utsav ke nam se jaana jaata hai, Bangalio ka sabse bade utsav bhi...